HD makeup kya hai
HD makeup mein aise products use hote hain jo camera aur HD video mein natural dikhte hain. Ye brush aur sponge se lagaya jata hai aur zyadatar skin types par achha lagta hai.
Airbrush makeup kya hai
Airbrush mein foundation ek machine se halke spray ki tarah lagta hai. Finish bahut smooth aur halka hota hai, aur ye lambe samay tak tikta hai.
Kaunsa chunein
Dono hi achhe hain. Aapki skin, outfit, venue aur budget ke hisaab se sahi option chuna jata hai. Trial par dono dekh kar tay karna sabse achha hai.
Sabse achha tareeka
WhatsApp par apni date aur pasand bhejiye. Trial ke baad hum aapke saath final tay kar lenge.
